Mujhe Yaad Aaata Hai

Mujhe Yaad Aaata Hai

Teri haseen aankhen dekh kar,

ab b mujhay wo zamana yaad aata hai,

jise main ne khud apnay hathon se likha tha,

wo haseen fasana yaad aata hai,

kkisi ki zulfon k peech-O-kham dekh k,

Mujh ko ek shoq dewana yaad aata hai,

kabhi jo guzarta hun us anjan rah guzar se,

to mujhay us k dar ka nishana yaad aata hai,

ek thokar-e-zakham k sabab se,

kitnay pechlay zakhmo ka khazana yaad aata hai,

ab b lagta hai k zindagi kitni adhori hai,

jab kabhi wo begana yaad aata hai,

shidat-e-gham se mandlatay sahel par,

mujhay moj darya pe ishq ka safina yaad aata hai.



--------------------------------------------------------

0 comments: