TU is TARHAAAN

Tu is tarahaan se meri zindagi main shaamil hai
jahaan bhi jaaon ye lagta hai ke teri mehfil hai.......

ye asmaan ye baadal ye raasty ye hawaa
har aik cheez hai apni jagaa thikaany se
kai dinooo se shikaayatt nahi zamaaany se
ye zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai...........

tera bagair jahaan main koi kammii cc thi
bhatak rahi thi jawaani andheri rahoon main
sakoon dil ko milaa aa ke teri bahoon main
main aik khoo ee hui moaaj hoon tu saahil hai.......

tere jamaal se roshan hai kainaat merii
meri talaash teri dilkashi rahy baaki
khuda kary ke ye diwaanagi rahy baakii
teri wafaa hi meri har khushi ka haasil hai................

AGAR ISHQ KI DAWA HOTI

dil torne walon ko saza kyun nhe milti.
har kisi ko pyar karne ki dua kyun nhe milti.
Log kehte hein eshq to ek beemari ha.
to phr Medical Store se iski Dawa kyun nhe milti.





Ishq ki dawa agar mila karti

her raat Cigrette ko chor kar

medical stores pe line laga karti

Larkion k haton YUN Larke toote na hote

ISHQ ki dawa AGAR huwa karti

Zindagi

aakhen khuli or zara hosh aya tu pata chala


maut ne hi bewafai kar li.....

maut se jo pucha us ki bewafai ki wajah......


kaha tere liye kisi ne zindagi ki dua kar li......







ANSWER BY Atif Nasim


Maut ki itni arzooo thi????

Jo us ki bewafi pasand na aaae ????

Kya ab, us se bhi khafa ho........

jis ne zindgi ki dua kiii....????

Hansa Jaye k Roya Jayee

Karb chehre se maah-o-saal ka dhoya jaye
Aj fursat se kahin baith k roya jaye

Phir kisi nazm ki tamheed uthaae jaye
Phir kisi Jism ko lafzon mein samoya jaye

Kuch to ho raat ki sarhad mein utarne ki saza
Garm sooraj ko samandar mein Duboya jaye

Itni jaldi to badalte nahi hon ge chehre
Gard aalood hain aaeine inhain aaj to dhoya jaye

Maut k khoaf se Ziyada jeene se bezaar hain Log
Iss almiye pe hansa jaye k roya jayee.....