Hansa Jaye k Roya Jayee

Karb chehre se maah-o-saal ka dhoya jaye
Aj fursat se kahin baith k roya jaye

Phir kisi nazm ki tamheed uthaae jaye
Phir kisi Jism ko lafzon mein samoya jaye

Kuch to ho raat ki sarhad mein utarne ki saza
Garm sooraj ko samandar mein Duboya jaye

Itni jaldi to badalte nahi hon ge chehre
Gard aalood hain aaeine inhain aaj to dhoya jaye

Maut k khoaf se Ziyada jeene se bezaar hain Log
Iss almiye pe hansa jaye k roya jayee.....

0 comments: