Ab Ke Hum Bichre To
Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main MiLe
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main MiLe
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main MiLe
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main ShamiL Kar Loon
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main MiLe
Too Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main MiLe
Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par
Kya Ajub KaL Woh Zamane Ko Nasibon Main MiLe
Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze Hain Faraz
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke SaiLabon Main MiLe
Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main MiLe
0 comments:
Post a Comment