Mujhe Gale Se Laga Lo
Mujhe gaLe se LagaLo bohat udas hoon main
gham jahan se churaLo bohat udas hoon main
ye intezar ka dukh ab saha nahi jata
tarap rahi hai mohabbat raha nahi jata
tum apne pas buLa Lo bohat udas hon
her ek saans mein miLne ki pyas paLti hai
suLag raha hai badan aur rooh jaLti hai
bacha sako to bacha Lo bohat udas hoon main
bhatak chuka hon bohat zindgi ki rahon mein
mujhe ab aa ke chupaLo tum apni baanhon mein
mera sawaL na taaLo bohat udas hoon main
Soye Nahi
Chaye hue thy badaL Lekin barsey nahiDard bohat tha diL mein par hum roye nahi
Koi nahi hamara jo hum se puchey
k
Jag rahe ho kisi k liye
Ya kisi k Liye Soye Nahi
Koi Hum Se Pooche
Tanhaiyon Ka Zehar Peena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey pochey
Kisi Ki Yadoon Main Khoyey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey Pochey
Kabhi AkeLay Main Apnay Aap Hi Hans Dena Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey pochey
Kabhi Tanha Bethay Bethay Khud Hi RoLena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kissi K Intizar Ki Bechaini Main Taraptey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Yeh Jaan Kar Bhi k Aanay WaLa Aye Ga Nahin
Us Ki Rahoon Main PaLken Bichaey Baithna Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey pochey
Neend To Ankhon Se Koson MeeL Door Hai
Yeh Soch Ker Raton Ko Tarey Ginna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey pochey
Kiya Pata AgLi Subha "UN" Ka Deedar Naseeb Ho
Yeh Sooch Ker Khuda Sey Dua Mangtey Rehna
K Abhi Din Ka UjaLa Ho Jaey Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey....!!!
Doston se pocho
Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein Luta hoon kaisey meray doston sey poocho,
Jo khuda tha meray diL ka,mera diL usi ney tora,
Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney La chora,
Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho,
Mein Luta hoon kis tarah meray doston sey poocho,
Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki,
Diya jis ko diL ussi ney meray diL sey diLLagi ki,
Mein kahan kahan jaLa hoon meri hasraton sey poocho,
Mein Luta hoon kis tarah meray doston sey poocho.
Kiun Ho
Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi Lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
diL bhar aataa hai tou phir diL ko dukhaate kyon ho,
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zuLf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
miLne aate ho to phir Laut ke jaate kyon ho...
Wo Kaghaz Ki Kashti
wo kaghaz ki kashti wo barish ka panimuhaLLe ki sab se purani nishani
wo burhia jise bachhe kehte the nani
wo nani ki batoon main sadiun ka dera
wo chehre ki jhuriun pe ghum ka andhere
bhuLaye nahi bhooL sakta hai koi
wo chooti si ratein wo Lambi kahani
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani
kari dhoop main apne ghar se nikaLna
wo chiriya wo buLbuL wo titLi pakarna
wo guria ki shadi main Larna jhagarna
wo jhooLe se girna wo gir ker sambhaLna
wo pitaL k chaLoon k pyare se thufe
wo tooti hoi choodiun ki nishani
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani
kabhi ret k oonche teeLoon pe jana
gharoonde banana bana ker mitana
wo masoom chahat ki tasveer apni
wo khwaboon khyaLoon ki taqdeer apni
na duniya ka ghum na hi rishtoon k bandhan
bari khoobsurat thi wo zindagani
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani
Yaad
CIGRATE SULGAI THI KE unki YAAD NA AAYBADBAKT DHOAAI NE unki TASVEER BANA DALI
MILNA ITTEFAQ THA BHICHARNA NASEEB THA
unsay ITNA DOOR HOGAYA JITNE KAREEB THA
MUHABAT KI NAZAR WO HAI JO DIL ME JAGA PAI
MUHABAT HO AGHAR SUCHI TO PHATAR BHI MUAM BAN JAI
AATI HAI YAAD AKSER ROTAI HAIN BAYBASI MAI
EK KO HUM NE CHAHA THA ZINDAGI MAY
ITNA TARAP RAHA THA KE SOYA NA RAAT BHAR
KALM SE LIKH RAHA THA unhi ka NAAM ASMAN PER
Ye Such Hai
Yeh sach hai un se nigahain kabhi miLa na sakayhum un ki yaad ko Lekin kabhi bhuLa na sakay
Woh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hain
hum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakay
Chah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakee
nikhar ke phooL bhi us ka shabaab Laa na sakay
Qaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hain
jo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakay
Hazar Gardish-e-doraan ke saath khaiL chukkay
magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay
jhijik jhijik ker nazar un ke diL tak aa pohanchii
yeh woh safar hai ke manziL jise bhuLa na sakay
Masroof tha muLaqaat main magar
yeh masLihat thi ke hum donoon muskura na sakay
Ye Zaroori To Nahi
Her shaks ka koi taLabgaar ho
YEH ZAROORI TO NAHI
her rishta ka koi naam ho
YEH ZAROORI TO NAHI
Log karte hain sawaL mujh se kitne
her sawaL ka main jawab doon
YEH ZAROORI TO NAHI
ker bethe hain woh pyaar ke badLe pyaar ki umeed
her kisi ko badLe main pyaar miLe
YEH ZAROORI TO NAHI
tum jis ki karo khuwahish rahe saath umer bhar
woh sada saath rahe tumhare
YEH ZAROORI TO NAHI
poshida rakhi hain DiL main humne jaane kitni baatein
her baat ka hum izhaar karen
YEH ZAROORI TO NAHI
Logon ko na pasand hai humara andaaz -e - zindagi
badLen hum ab apni zindagi
YEH ZAROORI TO NAHI
tum per hai bharosa yeh karte hain Dawa
yeh Dawa hamesha qayyam rahe
YEH ZAROORI TO NAHI
be-diLi se poochte hain mera haaL hai kaisa
to yeh haaL bhi woh poochen to
YEH ZAROORI TO NAHI
Kaisa Shaks Tha
Be-etibaar shaks tha so war kar gaya,Lekin mere shaoor ko bedaar kar gaya,
Kuch me ne ishteaal me shikwey giley kiy,
Kuch wo shakayatein sar-e-bazar kar gaya.
Pehle wo mery zaat ki tameer mein raha,
Wo aa mila to fasley kat'te chale gay,
Bichra to raastey mere dushwar kar gaya.
0 comments:
Post a Comment