Admire Her

Phoolo Se Achi Mery Jan


Meri jaan....

PhooLon sey achi us ki khushboo,
KaLiyon sey pyaari us ki muskaan,
Sitaron sey chamakta hua chehra,
KoyaL si meethi zabaan,
Chand bhi chup jaye yeh keh kar,
Aasmaan par ab kya hai mera kaam,
Chandni to aa nikLi zameen sey,
kaisi hai yeh kudrat ki shaan,
Fursat sey banaya hoga rab ney,
Farishton ka nahin yeh kaam,
Mitti sey baney hain hum sab,
Us mein sonay ko miLaya hoga,
Hooron ney bhi hasrat sey dekha hoga,
Pariyon sey sundar yeh insaan,
ALfaaz bhi kum partey hain kehney ko........

AISI HAI MERI JAAN!

0 comments: